Jinhen karnaa thaa dil aabaad apnaa

जिन्हें करना था दिल आबाद अपना
Work
Year
Language

जिन्हें करना था दिल आबाद अपना
वो ही चलें आज बरबाद हो कर
जिन्हें थी तलाश मसर्रतों की
लौट चलें हैं आज नाशाद हो कर

आज हुस्न के रंगीं आशियाँ को
ज़ालिम इश्क़ ने लूटा सैयाद हो कर
एक सीने से लगा बरबादियों के
एक ख़ुश है आज आबाद हो कर

एक डोली में बैठी सुहाग लेकर
एक जाती है ज़ेर-ए-ज़मीं देखो
कमख़ाब के पहने लिबास इक ने
और एक है ख़ाक़नशीं देखो

जिसकी लाश पे कोई ना रोये आ कर
यही है वो माह-ए-ज़बीं देखो
एक टहनी के दोनों हैं फूल लेकिन
एक मुरझाया है एक है ख़ून (?) देखो

jinheṅ karnā thā dil ābād apnā
vo hī chaleṅ āj barbād ho kar
jinheṅ thī talāśh masarrtoṅ kī
lauṭ chaleṅ haiṅ āj nāśhād ho kar

āj husn ke raṅgīṅ āśhiyāṇ ko
zālim iśhq ne lūṭā saiyād ho kar
ek sīne se lagā barbādiyoṅ ke
ek khuśh hai āj ābād ho kar

ek ḍolī meṅ baiṭhī suhāg lekar
ek jātī hai zer-e-zamīṅ dekho
kamakhāb ke pahne libās ik ne
aur ek hai khāqanśhīṅ dekho

jiskī lāśh pe koī nā roye ā kar
yahī hai vo māh-e-zabīṅ dekho
ek ṭahnī ke donoṅ haiṅ phūl lekin
ek murjhāyā hai ek hai khūn (?) dekho