Jinhe ham bhoolnaa chaahe vo aksar yaad aate hain

जिन्हे हम भूलना चाहे वो अक्सर याद आते हैं
Work
Year
Language

जिन्हे हम भूलना चाहे, वो अक्सर याद आते हैं
बुरा हो इस मोहब्बत का, वो क्यों कर याद आते हैं

भुलाये किस तरह उनको, कभी पी थी उन आँखों से
छलक जाते हैं जब आँसू, वो सागर याद आते हैं

किसी के सुर्ख लब थे या दिये की लौ मचलती थी
जहाँ की थी कभी पूजा, वो मंदर याद आते हैं

रहे ऐ शम्मा तू रोशन दुआँ देता है परवाना
जिन्हे किस्मत में जलना हैं, वो जलकर याद आते हैं

jinhe ham bhūlnā chāhe, vo aksar yād āte haiṅ
burā ho is mohabbat kā, vo kyoṅ kar yād āte haiṅ

bhulāye kis tarah unko, kabhī pī thī un āṇkhoṅ se
chhalak jāte haiṅ jab āṇsū, vo sāgar yād āte haiṅ

kisī ke surkh lab the yā diye kī lau machaltī thī
jahāṇ kī thī kabhī pūjā, vo maṅdar yād āte haiṅ

rahe ai śhammā tū rośhan duāṇ detā hai parvānā
jinhe kismat meṅ jalnā haiṅ, vo jalkar yād āte haiṅ