जिंदगी में जब तुम्हारे गम नहीं थे
जिन्दगी में जब तुम्हारे गम नहीं थे
इतने तनहा थे के हम भी हम नहीं थे
वक्तपर जो लोग काम आये हैं अक्सर
अजनबी थे वो मेरे हमदम नहीं थे
बेसबब था तेरा मिलना रहगुजर में
हादसे हर मोड़ पर कुछ कम नहीं थे
हम ने ख्वाबो में खुदा बनकर भी देखा
आप की बाहों में वो आलम नहीं थे
सामने दीवार थी खुद्दारियों की
वरना रास्तें प्यार के पुरखम नहीं थे
jindgī meṅ jab tumhāre gam nahīṅ the
itne tanhā the ke ham bhī ham nahīṅ the
vaktapar jo log kām āye haiṅ aksar
ajanbī the vo mere hamdam nahīṅ the
besbab thā terā milnā rahgujar meṅ
hādse har moṛ par kuchh kam nahīṅ the
ham ne khvābo meṅ khudā bankar bhī dekhā
āp kī bāhoṅ meṅ vo ālam nahīṅ the
sāmne dīvār thī khuddāriyoṅ kī
varnā rāsteṅ pyār ke purkham nahīṅ the