Jindgee khvaab hai

जिंदगी ख्वाब है
Work
Year
Language

रंगी को नारंगी कहे, बने दूध को खोया
चलती को गाडी कहे, देख कबीरा रोया 

जिंदगी ख्वाब है
ख्वाब में झूठ क्या और भला सच है क्या
सब सच है

दिल ने हम से जो कहा, हम ने वैसा ही किया
फिर कभी फुरसत से सोचेंगे, बुरा था या भला

एक कतरा मय का जब पत्थर के होठों पर पड़ा
उस के सीने में भी दिल धड़का, ये उस ने भी कहा

एक प्याली भर के मैंने गम के मारे दिल को दी 
जहर ने मारा जहर तो मुर्दे में फिर जान आ गयी 

raṅgī ko nāraṅgī kahe, bane dūdh ko khoyā
chaltī ko gāḍī kahe, dekh kabīrā royā 

jiṅdgī khvāb hai
khvāb meṅ jhūṭh kyā aur bhalā sach hai kyā
sab sach hai

dil ne ham se jo kahā, ham ne vaisā hī kiyā
phir kabhī phurasat se socheṅge, burā thā yā bhalā

ek katrā may kā jab patthar ke hoṭhoṅ par paṛā
us ke sīne meṅ bhī dil dhaṛkā, ye us ne bhī kahā

ek pyālī bhar ke maiṅne gam ke māre dil ko dī 
jahar ne mārā jahar to murde meṅ phir jān ā gayī