Jigar kee aag se is dil ko jaltaa dekhte jaao

जिगर की आग से इस दिल को जलता देखते जाओ
Work
Year
Language

जिगर की आग से इस दिलको जलता देखते जाओ
लुटी जाती है अर्मानों की दुनिया देखते जाओ

लगी है आग दिल में आँख से आँसू बरसते हैं
भरी बरसात में इस घर को जलता देखते जाओ

इसी दिन के लिए बोलो तुम्हें क्‌या हमने चाहा था
कि हम बरबाद हों और तुम तमाशा देखते जाओ

बहा कर ले चली हैं ग़म की मौजें दिल की कश्ती को
हमारे डूब जाने का नज़ारा देखते जाओ

jigar kī āg se is dilko jaltā dekhte jāo
luṭī jātī hai armānoṅ kī duniyā dekhte jāo

lagī hai āg dil meṅ āṇkh se āṇsū baraste haiṅ
bharī barsāt meṅ is ghar ko jaltā dekhte jāo

isī din ke lie bolo tumheṅ k‌yā hamne chāhā thā
ki ham barbād hoṅ aur tum tamāśhā dekhte jāo

bahā kar le chalī haiṅ ġham kī maujeṅ dil kī kaśhtī ko
hamāre ḍūb jāne kā nazārā dekhte jāo