Jidhar unkee tirchhee nazar ho gaee

जिधर उनकी तिरछी नज़र हो गई
Work
Year
Language

जिधर उनकी तिरछी नज़र हो गई
क़यामत ही बर्पा उधर हो गई

वो फिर-फिर के देखें मुझे जाते-जाते
मुहब्बत मेरी पुर-असर हो गई

किया राज़ अफ़शाँ निगाहों ने दिल का
छुपाते-छुपाते ख़बर हो गई

किया क़त्ल चुटकी में 'आज़ाद' को भी
निगाह उनकी कैसी निडर हो गई

शब-ए-वस्ल भी दिल के अरमाँ न निकले
मनाते-मनाते सहर हो गई

jidhar unkī tirchhī nazar ho gaī
qayāmat hī barpā udhar ho gaī

vo phir-phir ke dekheṅ mujhe jāte-jāte
muhabbat merī pur-asar ho gaī

kiyā rāz afśhāṇ nigāhoṅ ne dil kā
chhupāte-chhupāte khabar ho gaī

kiyā qatl chuṭkī meṅ 'āzād' ko bhī
nigāh unkī kaisī niḍar ho gaī

śhab-e-vasl bhī dil ke armāṇ na nikle
manāte-manāte sahar ho gaī