जिधर देखता हूँ ... अगर तेरी दुनिया में
जिधर देखता हूँ उधर हैं अँधेरे
सवेरा कहाँ है ओ भगवान मेरे
अगर तेरी दुनिया में ये ग़म रहेंगे
तो फिर तेरी दुनिया में क्या हम रहेंगे
अगर तेरी दुनिया …
हैं तेरे जहाँ में कहीं तो बहारें
कहीं उठ रहीं है ग़मों की पुकारें
यही ज़िन्दगी है तो क्या ख़ुश रहेंगे
अगर तेरी दुनिया …
ना इतना सता तुझे हम बता दें
ये आहों के शोले ना तुझको जला दें
बता कब तलक़ ये सितम हम सहेंगे
अगर तेरी दुनिया …
रहेगा सितम का अगर ये अँधेरा
तो मिट जाएगा नाम दुनिया से तेरा
है मालिक भी झूठा सभी ये कहेंगे
अगर तेरी दुनिया …
jidhar dekhtā hūṇ udhar haiṅ aṇdhere
saverā kahāṇ hai o bhagvān mere
agar terī duniyā meṅ ye ġham raheṅge
to phir terī duniyā meṅ kyā ham raheṅge
agar terī duniyā …
haiṅ tere jahāṇ meṅ kahīṅ to bahāreṅ
kahīṅ uṭh rahīṅ hai ġhamoṅ kī pukāreṅ
yahī zindgī hai to kyā khuśh raheṅge
agar terī duniyā …
nā itnā satā tujhe ham batā deṅ
ye āhoṅ ke śhole nā tujhko jalā deṅ
batā kab talaq ye sitam ham saheṅge
agar terī duniyā …
rahegā sitam kā agar ye aṇdherā
to miṭ jāegā nām duniyā se terā
hai mālik bhī jhūṭhā sabhī ye kaheṅge
agar terī duniyā …