Jhuktee ghataa gaatee havaa sapne jagaae

झुकती घटा गाती हवा सपने जगाए
Year
Language

झुकती घटा गाती हवा सपने जगाए
नन्हा सा दिल मेरा मचल-मचल जाए

1) महके हुए दहके हुए मस्त नज़ारे
निखरे हुए बिखरे हुए रंग के धारे
आज पवन हो के मगन हमको बुलाए, झुकती …

रवाना है छोती सी कश्ती हवाओं के रुख पर
नदी के साज़ पे मल्लाह गीत गाता है
तुम्हारा जिस्म हर इक लहर के झकोले से
ओ मेरी शरीर निगाहों में झूल जाता है

2) जिस्म मेरा जान भी मेरी तेरे लिये है
प्यार भरी दुनिया सजी तेरे लिये है
आँखों में छाए तेरे जलवों के साए, झुकती …

jhuktī ghaṭā gātī havā sapne jagāe
nanhā sā dil merā machal-machal jāe

1) mahke hue dahke hue mast nazāre
nikhre hue bikhre hue raṅg ke dhāre
āj pavan ho ke magan hamko bulāe, jhuktī …

ravānā hai chhotī sī kaśhtī havāoṅ ke rukh par
nadī ke sāz pe mallāh gīt gātā hai
tumhārā jism har ik lahar ke jhakole se
o merī śharīr nigāhoṅ meṅ jhūl jātā hai

2) jism merā jān bhī merī tere liye hai
pyār bharī duniyā sajī tere liye hai
āṇkhoṅ meṅ chhāe tere jalvoṅ ke sāe, jhuktī …