Jhukee jhukee see nazar beqraar hai ki naheen

झुकी झुकी सी नज़र बेक़रार है कि नहीं
Work
Year
Language

झुकी झुकी सी नज़र बेक़रार है कि नहीं
दबा दबा सा सही दिल में प्यार है कि नहीं …

तू अपने दिल की जवाँ धड़कनों को गिन के बता …
मेरी तरह तेरा दिल बेक़रार है कि नहीं …
दबा दबा सा सही दिल में प्यार है कि नहीं
झुकी झुकी सी नज़र

वो पल के जिस में मोहब्बत जवान होती है
उस एक पल का तुझे इंतज़ार है कि नहीं …
दबा दबा सा सही दिल में प्यार है कि नहीं
झुकी झुकी सी नज़र

तेरी उम्मीद पे ठुकरा रहा हूँ दुनिया को …
तुझे भी अपने पे ये ऐतबार है कि नहीं …
दबा दबा सा सही दिल में प्यार है कि नहीं
झुकी झुकी सी नज़र्

jhukī jhukī sī nazar beqrār hai ki nahīṅ
dabā dabā sā sahī dil meṅ pyār hai ki nahīṅ …

tū apne dil kī javāṇ dhaṛaknoṅ ko gin ke batā …
merī tarah terā dil beqrār hai ki nahīṅ …
dabā dabā sā sahī dil meṅ pyār hai ki nahīṅ
jhukī jhukī sī nazar

vo pal ke jis meṅ mohabbat javān hotī hai
us ek pal kā tujhe iṅtazār hai ki nahīṅ …
dabā dabā sā sahī dil meṅ pyār hai ki nahīṅ
jhukī jhukī sī nazar

terī ummīd pe ṭhukrā rahā hūṇ duniyā ko …
tujhe bhī apne pe ye aitbār hai ki nahīṅ …
dabā dabā sā sahī dil meṅ pyār hai ki nahīṅ
jhukī jhukī sī nazar