Jhuke jo tere nainaa

झुके जो तेरे नैना
Work
Year
Language

झुके जो तेरे नैना
तो चुड़ी तेरी खनकी, ये पायल तेरी छनकी
ये तेरी मेरी प्रीत गोरी है बालपनकी
कली जो खिलेगी, तो खुश्बू उड़ेगी
छुपे फूल फिर भी ना खुश्बू छुपेगी
छुपा ले ये फूलों सा मुखड़ा कहीं तू
लगन तेरे मन की तो छुप ना सकेगी
उड़ा जो तेरा आँचल, तो चुड़ी तेरी खनकी
ये पायल तेरी छनकी, ये तेरी मेरी प्रीत गोरी है बालपनकी
कभी छाँव बनके कभी धूप बनके
दिखाता ये रूप सपने मिलन के
मगर जब मिलन की घड़ी पास आए
तो दिखलाए जलवे ये बेगानेपनके
जो लट लहराई तो चुड़ी तेरी खनकी
ये पायल तेरी छनकी, ये तेरी मेरी प्रीत गोरी है बालपनकी

jhuke jo tere nainā
to chuṛī terī khankī, ye pāyal terī chhankī
ye terī merī prīt gorī hai bālpankī
kalī jo khilegī, to khuśhbū uṛegī
chhupe phūl phir bhī nā khuśhbū chhupegī
chhupā le ye phūloṅ sā mukhaṛā kahīṅ tū
lagan tere man kī to chhup nā sakegī
uṛā jo terā āṇchal, to chuṛī terī khankī
ye pāyal terī chhankī, ye terī merī prīt gorī hai bālpankī
kabhī chhāṇv banke kabhī dhūp banke
dikhātā ye rūp sapne milan ke
magar jab milan kī ghaṛī pās āe
to dikhlāe jalve ye begānepanke
jo laṭ lahrāī to chuṛī terī khankī
ye pāyal terī chhankī, ye terī merī prīt gorī hai bālpankī