Jhoomtee chalee havaa, yaad aa gayaa koee

झूमती चली हवा, याद आ गया कोई
Year
Language

झूमती चली हवा, याद आ गया कोई
बुझती बुझती याद को फिर जला गया कोई

खो गयी हैं मंज़िलें, मिट गये हैं रास्ते
गर्दिशे ही गर्दिशे अब हैं मेरे वास्ते
और ऐसे में मुझे फिर बुला गया कोई

एक हूक सी उठी मैं सिहर के रह गया
दिल को अपने थाम के आह भर के रह गया
चांदनी की ओट से मुस्कुरा गया कोई

चूप हैं चाँद चाँदनी, चूप ये आसमान है
मीठी मीठी नींद में सो रहा जहान है
आज आधी रात को क्यो जगा गया कोई

jhūmtī chalī havā, yād ā gayā koī
bujhtī bujhtī yād ko phir jalā gayā koī

kho gayī haiṅ maṅzileṅ, miṭ gaye haiṅ rāste
gardiśhe hī gardiśhe ab haiṅ mere vāste
aur aise meṅ mujhe phir bulā gayā koī

ek hūk sī uṭhī maiṅ sihar ke rah gayā
dil ko apne thām ke āh bhar ke rah gayā
chāṅdnī kī oṭ se muskurā gayā koī

chūp haiṅ chāṇd chāṇdnī, chūp ye āsmān hai
mīṭhī mīṭhī nīṅd meṅ so rahā jahān hai
āj ādhī rāt ko kyo jagā gayā koī