Jhoome re kalee, bhnvraa ulajh gayaa kaanton men

झूमे रे कली, भँवरा उलझ गया काँटों में
Work
Year
Language

झूमे रे कली, भँवरा उलझ गया काँटों में -2
बन बन ढूँढे पवन शराबि -2
गगन कहे
गगन कहे, चुपके से फूल खिला काँटों में
झूमे रे कली, भँवरा उलझ गया काँटों में

शाम-सवेरे दिल को घेरे, कौन मुझ पे जादू फेरे
सब समझावे प्रीत बुरी है -2
लगन कैसी
लगन कैसी, जीवन का चैन छुपा काँटों में
झूमे रे कली, भँवरा उलझ गया काँटों में

मन में आके चैन चुराके, जो छुप जाये नींद उड़ाके -2
जब मैं उनका नाम पुकारूँ -2
नज़र कहे
नज़र कहे, आँचल का पूछ पता काँटों में
झूमे रे कली …

jhūme re kalī, bhṇvrā ulajh gayā kāṇṭoṅ meṅ -2
ban ban ḍhūṇḍhe pavan śharābi -2
gagan kahe
gagan kahe, chupke se phūl khilā kāṇṭoṅ meṅ
jhūme re kalī, bhṇvrā ulajh gayā kāṇṭoṅ meṅ

śhām-savere dil ko ghere, kaun mujh pe jādū phere
sab samjhāve prīt burī hai -2
lagan kaisī
lagan kaisī, jīvan kā chain chhupā kāṇṭoṅ meṅ
jhūme re kalī, bhṇvrā ulajh gayā kāṇṭoṅ meṅ

man meṅ āke chain churāke, jo chhup jāye nīṅd uṛāke -2
jab maiṅ unkā nām pukārūṇ -2
nazar kahe
nazar kahe, āṇchal kā pūchh patā kāṇṭoṅ meṅ
jhūme re kalī …