Jhoom jhoom ke naacho aaj, gaao khushee ke geet

झूम झूम के नाचो आज, गाओ खुशी के गीत
Work
Year
Language

झूम झूम के नाचो आज गाओ खुशी के गीत
आज किसी की हार हुई है, आज किसी की जीत

कोई किसीकी आँख का तारा, जीवन साथी साजन प्यारा
और कोई तकदीर का मारा, ढूँढ रहा है दिल का सहारा
किसीको दिल का दर्द मिला है, किसीको मन का मीत

देखो तो कितना खुश है जमाना, दिल में उमंगें लब पे तराना
दिल जो दुखे आँसू ना बहाना, ये तो यहाँ का ढंग पुराना
इस को मिटाना, उस को बनाना, इस नगरी की रीत

jhūm jhūm ke nācho āj gāo khuśhī ke gīt
āj kisī kī hār huī hai, āj kisī kī jīt

koī kisīkī āṇkh kā tārā, jīvan sāthī sājan pyārā
aur koī takdīr kā mārā, ḍhūṇḍh rahā hai dil kā sahārā
kisīko dil kā dard milā hai, kisīko man kā mīt

dekho to kitnā khuśh hai jamānā, dil meṅ umaṅgeṅ lab pe tarānā
dil jo dukhe āṇsū nā bahānā, ye to yahāṇ kā ḍhaṅg purānā
is ko miṭānā, us ko banānā, is nagrī kī rīt