Jhoom-jhoom ke do deevaane gaate jaaen galee-galee

झूम-झूम के दो दीवाने गाते जाएँ गली-गली
Work
Year
Language

झूम-झूम के दो दीवाने गाते जाएँ गली-गली
अपनी धुन में मस्ती का पैग़ाम सुनाएँ गली-गली -2

( दुनिया वालों ) -2 ये दुनिया है बस्ती किसके बाप की
आज अगर है कल ना होगी यहाँ ज़रूरत आप की -2
झूम-झूम के …

ना जाने ये मूरख दुनिया पैसे की क्‌यों दास है
चार रोटियाँ एक लंगोटी बाक़ी सब बक़वास है -2
झूम-झूम के …

आग पेट की क्‌या-क्‌या माँगे रोटी के दो टुकड़े
बड़े लोग फिर क्‌यों करते नोटों के सौ टुकड़े
दीवाने को मस्ताने को बात ये दिल की कहने दो
महलों वालों महल के नीचे कुटिया को भी रहने दो -2
झूम-झूम के …

jhūm-jhūm ke do dīvāne gāte jāeṇ galī-galī
apnī dhun meṅ mastī kā paiġhām sunāeṇ galī-galī -2

( duniyā vāloṅ ) -2 ye duniyā hai bastī kiske bāp kī
āj agar hai kal nā hogī yahāṇ zarūrat āp kī -2
jhūm-jhūm ke …

nā jāne ye mūrakh duniyā paise kī k‌yoṅ dās hai
chār roṭiyāṇ ek laṅgoṭī bāqī sab baqvās hai -2
jhūm-jhūm ke …

āg peṭ kī k‌yā-k‌yā māṇge roṭī ke do ṭukaṛe
baṛe log phir k‌yoṅ karte noṭoṅ ke sau ṭukaṛe
dīvāne ko mastāne ko bāt ye dil kī kahne do
mahloṅ vāloṅ mahal ke nīche kuṭiyā ko bhī rahne do -2
jhūm-jhūm ke …