Jhoolnaa dalaa de, more saiyaan ko bulaa de, o nanad jee

झूलना डला दे, मोरे सैयाँ को बुला दे, ओ ननद जी
Work
Year
Language

ननद: सिस्तेर ओफ़ हुस्बन्द

झूलना डला दे
मोरे सैयाँ को बुला दे, ओ ननद जी
सावन की रुत आई

झूलना डला दे
मोरे सैयाँ को बुला दे, ओ ननद जी
सावन की रुत आई

लो जल बरसाने आईं घटायें काली -2
तुम झूठी बोलीं, ऐसे में तो बोलूँ ??
ओ अरी ओ री ननन्दिया -2
मेरा बिखरा-बिखरा बाग, नहीं घर माली
बिरहन देती दुहाई

( झूलना डला दे
मोरे सैयाँ को बुला दे, ओ ननद जी
सावन की रुत आई ) -2

( बेदर्दों से प्रीत लगा के
मैं पछताई हो मैं पछताई ) -2
( दिन ने चैन गँवाया
आँख ने निंदिया गँवाई, हा निंदिया गँवाई ) -2
ओ अरे अरे ननदिया -2
इक बार उन्हें मिला दे भला हो तेरा
निन-नित तुम्हें मिले न दोया मेरा -2 ??

( झूलना डला दे
मोरे सैयाँ को बुला दे, ओ ननद जी
सावन की रुत आई ) -2

nanad: sister of husband

jhūlnā ḍalā de
more saiyāṇ ko bulā de, o nanad jī
sāvan kī rut āī

jhūlnā ḍalā de
more saiyāṇ ko bulā de, o nanad jī
sāvan kī rut āī

lo jal barsāne āīṅ ghaṭāyeṅ kālī -2
tum jhūṭhī bolīṅ, aise meṅ to bolūṇ ??
o arī o rī nanandiyā -2
merā bikhrā-bikhrā bāg, nahīṅ ghar mālī
birahan detī duhāī

( jhūlnā ḍalā de
more saiyāṇ ko bulā de, o nanad jī
sāvan kī rut āī ) -2

( bedardoṅ se prīt lagā ke
maiṅ pachhtāī ho maiṅ pachhtāī ) -2
( din ne chain gṇvāyā
āṇkh ne niṅdiyā gṇvāī, hā niṅdiyā gṇvāī ) -2
o are are nandiyā -2
ik bār unheṅ milā de bhalā ho terā
nin-nit tumheṅ mile na doyā merā -2 ??

( jhūlnā ḍalā de
more saiyāṇ ko bulā de, o nanad jī
sāvan kī rut āī ) -2