Jhir jhir jhir jhir badarvaa barse

झिर झिर झिर झिर बदरवा बरसे
Work
Year
Language

ल: झिर झिर झिर झिर बदरव बरसे
ओ कारे कारे,
सोये अरमान जागे कई तूफ़ान जागे,
माने ना जिया मोरा सजना बिना

ओ ओ ओ
आजा के तोहे मेरा प्रीत पुकारे
तुझको ही आज तेरा गीत पुकारे
याद आई बीती बातें
तुमसे मिलन की रातें
काहे को भुले मोहे, अपना बना

झिर झिर झिर झिर बदरवा बरसे
ओ कारे कारे, झिर झिर झिर झिर

हे: झिर झिर झिर झिर बदरवा बरसे
ओ कारे कारे,
सोये अरमान जागे, कई तूफ़ान जागे,
बरखा न भाये गोरी तेरे बिना

तेरे घुंघराले काले बालों से
काली रात ने आज मेरी नींद चुरा ली
ल: तोसे ही प्यार करूँ
हे: तेरा इंतज़ार करूँ
दो: तेरे बिन झूठा मेरा हर सपना

दो: झिर झिर झिर झिर बदर्वा बरसे
ओ कारे कारे, झिर झिर झिर झिर्

la: jhir jhir jhir jhir badarav barse
o kāre kāre,
soye armān jāge kaī tūfān jāge,
māne nā jiyā morā sajnā binā

o o o
ājā ke tohe merā prīt pukāre
tujhko hī āj terā gīt pukāre
yād āī bītī bāteṅ
tumse milan kī rāteṅ
kāhe ko bhule mohe, apnā banā

jhir jhir jhir jhir badarvā barse
o kāre kāre, jhir jhir jhir jhir

he: jhir jhir jhir jhir badarvā barse
o kāre kāre,
soye armān jāge, kaī tūfān jāge,
barkhā na bhāye gorī tere binā

tere ghuṅghrāle kāle bāloṅ se
kālī rāt ne āj merī nīṅd churā lī
la: tose hī pyār karūṇ
he: terā iṅtazār karūṇ
do: tere bin jhūṭhā merā har sapnā

do: jhir jhir jhir jhir badarvā barse
o kāre kāre, jhir jhir jhir jhir