Jhil-mil taare karen ishaare

झिल-मिल तारे करें इशारे
Work
Year
Language

मुकेश: झिल-मिल तारे करें इशारे सो जा
सो जा, सो जा राजदुलारे
बन अलबेली नार नवेली निन्दिया
निन्दिया आई नैन द्वारे

सुरैया: (मतलब की अँधी ये दुनिया) - 2
(कैसे हमें पहचाने) - 2
दिल के टुकड़े मेरे दिल के,
(दर्द को तू ही जाने) - 2
सब कोई सोये पर हम रोयें
जागें जागें जागें ग़म के मारे

(सुंदर सपने देख मगर
तू मोह न कर सपनों से) - 2
रोज़ बदलती है ये दुनिया
(आस न कर अपनों से) - 2

मुकेश: धूप-छाँव का खेल ये दुनिया
(सुख-दुख आस-निराशा) - 2
(तेरे अंगन एक चाँद एक तारा) - 2
(अंखियन चमके आशा) - 2
ढल जायेगी रात अँधेरी
होंगे, होंगे सोने के दिन सारे

mukeśh: jhil-mil tāre kareṅ iśhāre so jā
so jā, so jā rājdulāre
ban albelī nār navelī nindiyā
nindiyā āī nain dvāre

suraiyā: (matalab kī aṇdhī ye duniyā) - 2
(kaise hameṅ pahchāne) - 2
dil ke ṭukaṛe mere dil ke,
(dard ko tū hī jāne) - 2
sab koī soye par ham royeṅ
jāgeṅ jāgeṅ jāgeṅ ġham ke māre

(suṅdar sapne dekh magar
tū moh na kar sapnoṅ se) - 2
roz badaltī hai ye duniyā
(ās na kar apnoṅ se) - 2

mukeśh: dhūp-chhāṇv kā khel ye duniyā
(sukh-dukh ās-nirāśhā) - 2
(tere aṅgan ek chāṇd ek tārā) - 2
(aṅkhiyan chamke āśhā) - 2
ḍhal jāyegī rāt aṇdherī
hoṅge, hoṅge sone ke din sāre