Jhanak jhanak toree baaje paayliyaa

झनक झनक तोरी बाजे पायलिया
Year
Language

झनक झनक तोरी बाजे पायलिया
प्रीत के गीत सुनाये पायलिया

रंग महल और रैन सुहानी
छम छम नाचे मस्त जवानी
मैं लहरों में खोया जाऊँ
ऐसी धूम मचाये पायलिया

ये कजरारी चंचल अंखियाँ
होंठ गुलाबी फूल की पतियाँ
लट बिखरे तो गाल पे ठहरे
होश जिया के उड़ाये पायलिया

इंद्रधनुश सा लोच कमरिया
ब्रिंदाबन की जैसे गुजरिया
बाँवरी रस पे कर दे जादू
आग में आग लगाये पायलिया

jhanak jhanak torī bāje pāyliyā
prīt ke gīt sunāye pāyliyā

raṅg mahal aur rain suhānī
chham chham nāche mast javānī
maiṅ lahroṅ meṅ khoyā jāūṇ
aisī dhūm machāye pāyliyā

ye kajrārī chaṅchal aṅkhiyāṇ
hoṅṭh gulābī phūl kī patiyāṇ
laṭ bikhre to gāl pe ṭhahre
hośh jiyā ke uṛāye pāyliyā

iṅdradhnuśh sā loch kamriyā
briṅdāban kī jaise gujriyā
bāṇvrī ras pe kar de jādū
āg meṅ āg lagāye pāyliyā