Jeevan men piyaa teraa saath rahen

जीवन में पिया तेरा साथ रहें
Year
Language

रोक सके ना राह हमारी, दुनिया की दीवार
साथ जियेंगे, साथ मरेंगे, अमर हमारा प्यार

जीवन में पिया तेरा साथ रहें
हाथों में तेरे मेरा हाथ रहें

सिंगार भरा पिया प्यार तेरा
झनकार करे हो मेरे कंगना में
लगी जब से लगन मेरे मन में सजन
शहनाई बजे हो मेरे अंगना में
सरगम की सदा बरसात रहें

जब तक सूरज चंदा चमके
गंगा जमुना में बहे पानी
रहे तब तक प्रीत अमर अपनी
है ये जनम जनम की दीवानी
रानी याद मिलन की ये रात रहें

rok sake nā rāh hamārī, duniyā kī dīvār
sāth jiyeṅge, sāth mareṅge, amar hamārā pyār

jīvan meṅ piyā terā sāth raheṅ
hāthoṅ meṅ tere merā hāth raheṅ

siṅgār bharā piyā pyār terā
jhankār kare ho mere kaṅgnā meṅ
lagī jab se lagan mere man meṅ sajan
śhahnāī baje ho mere aṅgnā meṅ
sargam kī sadā barsāt raheṅ

jab tak sūraj chaṅdā chamke
gaṅgā jamunā meṅ bahe pānī
rahe tab tak prīt amar apnī
hai ye janam janam kī dīvānī
rānī yād milan kī ye rāt raheṅ