Jeevan ke saphar men raahee milte hain bichhad jaane ko

जीवन के सफर में राही मिलते हैं बिछड जाने को
Work
Year
Language

जीवन के सफ़र में राही
मिलते हैं बिछड़ जाने को
और दे जाते हैं यादें
तनहाई में तड़पाने को

ये रूप की दौलतवाले
कब सुनते हैं दिल के नाले
तकदीर न बस में डाले
इनके किसी दीवाने को

जो इनकी नज़र से खेले
दुख पाए मुसीबत झेले
फिरते हैं ये सब अलबेले
दिल ले के मुकर जाने को

दिल ले के दगा देते हैं
एक रोग लगा देते हैं
हँस हँस के जला देते हैं
ये हुस्न के परवाने को

jīvan ke safar meṅ rāhī
milte haiṅ bichhaṛ jāne ko
aur de jāte haiṅ yādeṅ
tanhāī meṅ taṛpāne ko

ye rūp kī daulatvāle
kab sunte haiṅ dil ke nāle
takdīr na bas meṅ ḍāle
inke kisī dīvāne ko

jo inkī nazar se khele
dukh pāe musībat jhele
phirte haiṅ ye sab albele
dil le ke mukar jāne ko

dil le ke dagā dete haiṅ
ek rog lagā dete haiṅ
hṇs hṇs ke jalā dete haiṅ
ye husn ke parvāne ko