Jeevan ke raaste men jeet unkee jo chalte hain ... bhagvaan hai tere saath

जीवन के रास्ते में जीत उनकी जो चलते हैं ... भगवान है तेरे साथ्
Year
Language

जीवन के रास्ते में जीत उनकी जो चलते हैं -2
हिम्मत से ही मेहनत से ही तो भाग बदलते हैं
भगवान है तेरे साथ रहमान है तेरे साथ
जीवन के रास्ते में …

जिसने कि आँसुओं को खुद कर दिया पसीना
यारों उसी ने सीखा इस ज़िन्दगी को जीना
भगवान है तेरे साथ …

रफ़्तार रहे क़ायम ज़िन्दगानी
जीवन है पानी कब तक जब तक रहे रवानी
भगवान है तेरे साथ …

ताक़त है हौसले से इन्सान से भी ज़्यादा
टूटे भले ही साँसें टूटे न इरादा
भगवान है तेरे साथ …

jīvan ke rāste meṅ jīt unkī jo chalte haiṅ -2
himmat se hī mehnat se hī to bhāg badalte haiṅ
bhagvān hai tere sāth rahmān hai tere sāth
jīvan ke rāste meṅ …

jisne ki āṇsuoṅ ko khud kar diyā pasīnā
yāroṅ usī ne sīkhā is zindgī ko jīnā
bhagvān hai tere sāth …

raftār rahe qāyam zindgānī
jīvan hai pānī kab tak jab tak rahe ravānī
bhagvān hai tere sāth …

tāqat hai hausle se insān se bhī zyādā
ṭūṭe bhale hī sāṇseṅ ṭūṭe na irādā
bhagvān hai tere sāth …