Jeene kee soorat ho gaee ... samjho ke mohabbat ho gaee

जीने की सूरत हो गई ... समझो के मोहब्बत हो गई
Work
Year
Language

जीने की सूरत हो गई
और तेरी बदौलत हो गई
जब दर्द से चाहत हो गई -2
समझो के मोहब्बत हो गई -2

जब हौले-हौले मन डोले
और अपनी धुन में कुछ बोले
नैनों में काजल रस घोले
समझो के मोहब्बत …

जब रतियाँ नाचें गाएँ
जब तारे साज़ बजाएँ
और झूमें मस्त घटाएँ
समझो के मोहब्बत …

बेवजह कलाई जब छनके
छन-छन छन-छन पायल छनके
और नयन का प्याला भी खनके
समझो के मोहब्बत …

jīne kī sūrat ho gaī
aur terī badaulat ho gaī
jab dard se chāhat ho gaī -2
samjho ke mohabbat ho gaī -2

jab haule-haule man ḍole
aur apnī dhun meṅ kuchh bole
nainoṅ meṅ kājal ras ghole
samjho ke mohabbat …

jab ratiyāṇ nācheṅ gāeṇ
jab tāre sāz bajāeṇ
aur jhūmeṅ mast ghaṭāeṇ
samjho ke mohabbat …

bevjah kalāī jab chhanke
chhan-chhan chhan-chhan pāyal chhanke
aur nayan kā pyālā bhī khanke
samjho ke mohabbat …