Jee chaahtaa hai ab to, duniyaa se rooth jaayen

जी चाहता है अब तो, दुनिया से रूठ जायें
Work
Year
Language

जी चाहता है अब तो, दुनिया से रूठ जायें
होंठों पे आ रहीं हैं, अब मौत की दुआएं-2

ओ बेवफ़ा ज़माने, चलते न तीर ग़म के
दिल न अगर लगाते, धोखे में आ न जाते-2

ये दिन न देखते हम, आँसू न यूँ बहाते
दो दिन तो मुस्कुराते-2

घिर घिर के यूँ न आती, अश्क़ों भरी घटाएं

होंठों पे आ रहीं हैं, अब मौत की दुआएं
जी चाहता है …

jī chāhtā hai ab to, duniyā se rūṭh jāyeṅ
hoṅṭhoṅ pe ā rahīṅ haiṅ, ab maut kī duāeṅ-2

o bevafā zamāne, chalte na tīr ġham ke
dil na agar lagāte, dhokhe meṅ ā na jāte-2

ye din na dekhte ham, āṇsū na yūṇ bahāte
do din to muskurāte-2

ghir ghir ke yūṇ na ātī, aśhqoṅ bharī ghaṭāeṅ

hoṅṭhoṅ pe ā rahīṅ haiṅ, ab maut kī duāeṅ
jī chāhtā hai …