Javaan mohabbat jahaan ... pahloo men aa ke aag lagaa ke

जवाँ मोहब्बत जहाँ ... पहलू में आ के आग लगा के
Year
Language

जवाँ मोहब्बत जहाँ-जहाँ है
दिलों की जन्नत वहाँ-वहाँ है

पहलू में आ के आग लगा के जाती हो जान-ए-तमन्ना कहाँ
शरमाना कैसा घबराना कैसा होने दो अब तो मोहब्बत जवाँ

दिल आ रहा है जाँ जा रही है ऐसे में रुक जा कहाँ जा रही है
तुझको जवाँ आरज़ू की क़सम बाँहों में आजा सिमट के सनम
पहलू में आ के …

ये शोख़ मौसम दिलकश नज़ारे आँखें आँखें दबा के करते इशारे
बहारें भी पूछें चले हो किधर हमसे भी दम भर मिला लो नज़र
पहलू में आ के …

चलती हवाएँ क्‌यूँ थम रही हैं नज़रें हमीं पर क्‌यूँ जम रही हैं
लहरों में है ये नग़मा रवाँ मोहब्बत जवाँ है जवाँ है जवाँ
पहलू में आ के …

जवाँ मोहब्बत -3

javāṇ mohabbat jahāṇ-jahāṇ hai
diloṅ kī jannat vahāṇ-vahāṇ hai

pahlū meṅ ā ke āg lagā ke jātī ho jān-e-tamannā kahāṇ
śharmānā kaisā ghabrānā kaisā hone do ab to mohabbat javāṇ

dil ā rahā hai jāṇ jā rahī hai aise meṅ ruk jā kahāṇ jā rahī hai
tujhko javāṇ ārazū kī qasam bāṇhoṅ meṅ ājā simaṭ ke sanam
pahlū meṅ ā ke …

ye śhokh mausam dilkaśh nazāre āṇkheṅ āṇkheṅ dabā ke karte iśhāre
bahāreṅ bhī pūchheṅ chale ho kidhar hamse bhī dam bhar milā lo nazar
pahlū meṅ ā ke …

chaltī havāeṇ k‌yūṇ tham rahī haiṅ nazreṅ hamīṅ par k‌yūṇ jam rahī haiṅ
lahroṅ meṅ hai ye naġhmā ravāṇ mohabbat javāṇ hai javāṇ hai javāṇ
pahlū meṅ ā ke …

javāṇ mohabbat -3