जवां हो यारों ये तुमको ... अरे यारों मेरे प्यारों
जवां हो यारों ये तुमको हुआ क्या अजी हमको देखो ज़रा
ये माना अभी हैं खाली हाथ
न होंगे सदा यही दिन रात
कभी तो बनेगी अपनी बात
अरे यारों मेरे प्यारों मेरी मानों हो दिलदारों
जवां हो यारों …
मेहनत से मिले जो उससे गुज़ार दूजे के माल को ठोकर से मार
आयेगी इधर भी एक दिन बहार होगा ये ज़माना हमपे निसार
ये माना अभी हैं …
इसको छूना नहीं है राम राम ये तो है पाप की गठरी तमाम
कब ये रुत बदल जाए किसको खबर
लग जाए हमें भी सोने के पर फिर ऐसे उड़ेंगे हम सब यार
गुलों से लदेगी मोटर कार हसीना होगी गले का हार
अरे यारों मेरे प्यारों …
javāṅ ho yāroṅ ye tumko huā kyā ajī hamko dekho zarā
ye mānā abhī haiṅ khālī hāth
na hoṅge sadā yahī din rāt
kabhī to banegī apnī bāt
are yāroṅ mere pyāroṅ merī mānoṅ ho dildāroṅ
javāṅ ho yāroṅ …
mehnat se mile jo usse guzār dūje ke māl ko ṭhokar se mār
āyegī idhar bhī ek din bahār hogā ye zamānā hampe nisār
ye mānā abhī haiṅ …
isko chhūnā nahīṅ hai rām rām ye to hai pāp kī gaṭhrī tamām
kab ye rut badal jāe kisko khabar
lag jāe hameṅ bhī sone ke par phir aise uṛeṅge ham sab yār
guloṅ se ladegī moṭar kār hasīnā hogī gale kā hār
are yāroṅ mere pyāroṅ …