Jalaakar aag dil men

जलाकर आग दिल में
Work
Year
Language

जलाकर आग दिल में, ज़िन्दगी बरबाद करते हैं
न हँसते हैं, न रोते हैं, न कुछ फ़रियाद करते हैं

उम्मीदें, हसरत-ओ-अरमान, सब अपना लिए दिल में
लिए बरबादियाँ अब, रंज-ओ-ग़म आबाद करते हैं
न हँसते हैं …

रहें मजबूरियाँ अपनी, रहें बरबादियाँ अपनी
हम अपने आशिया को, आप ही बरबाद करते हैं
न हँसते हैं …

नहीं अपनी कोई मंज़िल, कहाँ जाएं, किधर जाएं
सहारा मौत का है, मौत को अपना करते हैं
न हँसते हैं …

jalākar āg dil meṅ, zindgī barbād karte haiṅ
na hṇste haiṅ, na rote haiṅ, na kuchh fariyād karte haiṅ

ummīdeṅ, hasrat-o-armān, sab apnā lie dil meṅ
lie barbādiyāṇ ab, raṅj-o-ġham ābād karte haiṅ
na hṇste haiṅ …

raheṅ majbūriyāṇ apnī, raheṅ barbādiyāṇ apnī
ham apne āśhiyā ko, āp hī barbād karte haiṅ
na hṇste haiṅ …

nahīṅ apnī koī maṅzil, kahāṇ jāeṅ, kidhar jāeṅ
sahārā maut kā hai, maut ko apnā karte haiṅ
na hṇste haiṅ …