Jal jal ke shamaa kee tarah fariyaad na karnaa

जल जल के शमा की तरह फ़रियाद न करना
Work
Year
Language

जल जल के शमा की तरह फ़रियाद न करना
मैं याद भी आऊँ तो मुझे याद न करना

मुश्किल है बहुत प्यार की दुनिया को बसाना
बेदर्द ज़माने का तरीका है पुराना
दो प्यार भरे दिल कभी आबाद ना करना
मैं याद भी आऊँ …

आकाश की चोटी पे महल हमने बनाया
दुनिया से बहुत दूर जहाँ अपना बसाया
क़िस्मत ने मगर चाहा हमें शाद न करना
मैं याद भी आऊँ …

अब अपने ख़्यालों में मुझे तुम न बसाना
भूले से कभी तुम मेरे सपनों में न आना
गर दिल में उठे दर्द तो फ़रियाद न करना
मैं याद भी आऊँ …

jal jal ke śhamā kī tarah fariyād na karnā
maiṅ yād bhī āūṇ to mujhe yād na karnā

muśhkil hai bahut pyār kī duniyā ko basānā
bedard zamāne kā tarīkā hai purānā
do pyār bhare dil kabhī ābād nā karnā
maiṅ yād bhī āūṇ …

ākāśh kī choṭī pe mahal hamne banāyā
duniyā se bahut dūr jahāṇ apnā basāyā
qismat ne magar chāhā hameṅ śhād na karnā
maiṅ yād bhī āūṇ …

ab apne khyāloṅ meṅ mujhe tum na basānā
bhūle se kabhī tum mere sapnoṅ meṅ na ānā
gar dil meṅ uṭhe dard to fariyād na karnā
maiṅ yād bhī āūṇ …