Jahaan men aayee deevaalee

जहाँ में आयी दीवाली
Work
Year
Language

जहाँ में आयी दीवाली बड़े चराग़ जले
हमारे दिल में तेरे ग़म के दाग़ जले

कदम कदम पे चराग़ों का आज मेला है
बुझा हुआ मेरे दिल का दिया अकेला है
कभी न ऐसे किसी की खुशी का बाग़ जले
हमारे दिल में …

अजीब रंग लिये अब के आयी दीवाली
किसी ने घर को जलाके मनायी दीवाली
उधर चराग़ इधर दिल का दाग़ दाग़ जले

ज़मीं पे उतरा हुआ क़ाफ़िला सितारों का
दिलाये याद समा प्यार की बहारों का
जो तुम नहीं हो तो कैसे मेरा चराग़ जले
हमारे दिल में …

jahāṇ meṅ āyī dīvālī baṛe charāġh jale
hamāre dil meṅ tere ġham ke dāġh jale

kadam kadam pe charāġhoṅ kā āj melā hai
bujhā huā mere dil kā diyā akelā hai
kabhī na aise kisī kī khuśhī kā bāġh jale
hamāre dil meṅ …

ajīb raṅg liye ab ke āyī dīvālī
kisī ne ghar ko jalāke manāyī dīvālī
udhar charāġh idhar dil kā dāġh dāġh jale

zamīṅ pe utrā huā qāfilā sitāroṅ kā
dilāye yād samā pyār kī bahāroṅ kā
jo tum nahīṅ ho to kaise merā charāġh jale
hamāre dil meṅ …