Jahaan mai jaatee hoon, vahee chale aate ho

जहाँ मै जाती हूँ, वही चले आते हो
Year
Language

जहाँ मैं जाती हूँ, वही चले आते हो
चोरी चोरी मेरे दिल में समाते हो
ये तो बताओ के तुम मेरे कौन हो?

दिल की दिल से लगन की ये बात है
प्यार की राह, रस्म की ये बात है
मुझ से ना पूछो के तुम मेरे कौन हो

मैं तो शोर मचाऊंगी
करनी तुम्हारी सब को बताऊँगी
खैर जो चाहो, चले जाओ मेरे दर से
छोड़ो ये आना जाना, दिल की डगर से

मैने क्या बुरा किया है
दिल दे कर ही, दिल ले लिया है
किसी बड़े ग्यानी ध्यानी को बुलाओ
अभी अभी यहाँ फ़ैसला कराओ

दिल ही जब हुए दीवाने
कहना हमारा अब कौन माने
जहाँ मैं जाती हूँ.. .. ...

jahāṇ maiṅ jātī hūṇ, vahī chale āte ho
chorī chorī mere dil meṅ samāte ho
ye to batāo ke tum mere kaun ho?

dil kī dil se lagan kī ye bāt hai
pyār kī rāh, rasm kī ye bāt hai
mujh se nā pūchho ke tum mere kaun ho

maiṅ to śhor machāūṅgī
karnī tumhārī sab ko batāūṇgī
khair jo chāho, chale jāo mere dar se
chhoṛo ye ānā jānā, dil kī ḍagar se

maine kyā burā kiyā hai
dil de kar hī, dil le liyā hai
kisī baṛe gyānī dhyānī ko bulāo
abhī abhī yahāṇ faislā karāo

dil hī jab hue dīvāne
kahnā hamārā ab kaun māne
jahāṇ maiṅ jātī hūṇ.. .. ...