Jab se chale gaye hain vo zindgee zindgee naheen

जब से चले गये हैं वो ज़िंदगी ज़िंदगी नहीं
Work
Year
Language

जब से चले गये हैं वो ज़िंदगी ज़िंदगी नहीं
साज़ है और सदा नहीं शम्मा है रोशनी नहीं

छोड़ के मुझको चल दिये ये भी नहीं किया ख़याल
उनके सिवा जहान में और मेरा कोई नहीं
जब से चले गये हैं वो ज़िंदगी ज़िंदगी नहीं

सारे जहाँ की रौनकें जैसे किसी ने लूट लीं
फूल है ताज़गी नहीं चाँद है चाँदनी नहीं
जब से चले गये हैं वो ज़िंदगी ज़िंदगी नहीं

जीने को जी रही हूँ मैं उनके बगैर भी अगर
ज़िंदगी कह सकूँ जिसे ऐसी तो ज़िंदगी नहीं
जब से चले गये हैं वो ज़िंदगी ज़िंदगी नहीं
साज़ है और सदा नहीं शम्मा है रोशनी नहीं

jab se chale gaye haiṅ vo ziṅdgī ziṅdgī nahīṅ
sāz hai aur sadā nahīṅ śhammā hai rośhnī nahīṅ

chhoṛ ke mujhko chal diye ye bhī nahīṅ kiyā khayāl
unke sivā jahān meṅ aur merā koī nahīṅ
jab se chale gaye haiṅ vo ziṅdgī ziṅdgī nahīṅ

sāre jahāṇ kī raunkeṅ jaise kisī ne lūṭ līṅ
phūl hai tāzgī nahīṅ chāṇd hai chāṇdnī nahīṅ
jab se chale gaye haiṅ vo ziṅdgī ziṅdgī nahīṅ

jīne ko jī rahī hūṇ maiṅ unke bagair bhī agar
ziṅdgī kah sakūṇ jise aisī to ziṅdgī nahīṅ
jab se chale gaye haiṅ vo ziṅdgī ziṅdgī nahīṅ
sāz hai aur sadā nahīṅ śhammā hai rośhnī nahīṅ