Jab nazar band thee vo mere paas thaa ... muhabbat hai yaaron gham

जब नज़र बंद थी वो मेरे पास था ... मुहब्बत है यारों ग़म्
Year
Language

जब नज़र बंद थी वो मेरे पास था
जब आँख खुली तो जाने क्‌या हो गया
जिसकी चाहत से रोशन था दिल का दिया
आज वो ही सनम बेवफ़ा हो गया

मुहब्बत है यारों ग़म का समन्दर
ज़रा सोचना दिल लगाने से पहले
नज़रें तुम्हारी ना खा जाएं धोखा
नज़रें किसी से मिलाने से पहले
मुहब्बत है यारों …

वादा तो करते हैं ये दुनिया वाले
मगर जग में कौन निभाता है वादा
किसी दूसरे को समझ लेना यारों
चाहत का वादा निभाने से पहले
मुहब्बत है यारों …

छोटा सा दिल ना कहीं टूट जाए
आँखों से दरिया भी ना छूट जाए
हज़ारों दफ़ा हाथ सीने पे रखना
किसी को भी अपना बनाने से पहले
मुहब्बत है यारों …

मिलेगी ज़माने में बस बेवफ़ाई
वफ़ा की उम्मीदें न रखना किसी से
कहीं बीच में ना महल टूट जाए
ख्वाबों की दुनिया सजाने से पहले
मुहब्बत है यारों …

jab nazar baṅd thī vo mere pās thā
jab āṇkh khulī to jāne k‌yā ho gayā
jiskī chāhat se rośhan thā dil kā diyā
āj vo hī sanam bevafā ho gayā

muhabbat hai yāroṅ ġham kā samandar
zarā sochnā dil lagāne se pahle
nazreṅ tumhārī nā khā jāeṅ dhokhā
nazreṅ kisī se milāne se pahle
muhabbat hai yāroṅ …

vādā to karte haiṅ ye duniyā vāle
magar jag meṅ kaun nibhātā hai vādā
kisī dūsre ko samajh lenā yāroṅ
chāhat kā vādā nibhāne se pahle
muhabbat hai yāroṅ …

chhoṭā sā dil nā kahīṅ ṭūṭ jāe
āṇkhoṅ se dariyā bhī nā chhūṭ jāe
hazāroṅ dafā hāth sīne pe rakhnā
kisī ko bhī apnā banāne se pahle
muhabbat hai yāroṅ …

milegī zamāne meṅ bas bevafāī
vafā kī ummīdeṅ na rakhnā kisī se
kahīṅ bīch meṅ nā mahal ṭūṭ jāe
khvāboṅ kī duniyā sajāne se pahle
muhabbat hai yāroṅ …