Jab larkee seetee bajaae aur larkaa chhat par aae ... maamlaa garbar hai

जब लड़की सीटी बजाए और लड़का छत पर आए ... मामला गड़बड़ है
Year
Language

जब लड़की सीटी बजाए और लड़का छत पर आए
ताका झांकी दोनों में हो जाए तो समझो
मामला गड़बड़ है

जब लड़का काँटा चुभाए फिर भी लड़की मुस्काए
गुदगुदी दोनों को हो जाए तो समझो
मामला गड़बड़ है

आंगन में गलियन में गलियन में बगियन में
जब दोनों मिलने लगे होंठ
जब लड़का आँखें डाले और लड़की आँचल सम्भाले
देखा देखी दोनों में हो जाए तो समझो
मामला गड़बड़ है
जब लड़की सीटी बजाए …

अपनों से भागे जब बिस्तर में जागे जब तकिये से लिपटे रहे
आने में टकराए जाने में टकराए दोनों ही सिमटे रहे
जब लड़की चूड़ी खनकाए और लड़का कमरे में आए
छेड़ा छेड़ी दोनों में हो जाए तो समझो
मामला गड़बड़ है
जब लड़की सीटी बजाए …

jab laṛkī sīṭī bajāe aur laṛkā chhat par āe
tākā jhāṅkī donoṅ meṅ ho jāe to samjho
māmlā gaṛbaṛ hai

jab laṛkā kāṇṭā chubhāe phir bhī laṛkī muskāe
gudgudī donoṅ ko ho jāe to samjho
māmlā gaṛbaṛ hai

āṅgan meṅ galiyan meṅ galiyan meṅ bagiyan meṅ
jab donoṅ milne lage hoṅṭh
jab laṛkā āṇkheṅ ḍāle aur laṛkī āṇchal sambhāle
dekhā dekhī donoṅ meṅ ho jāe to samjho
māmlā gaṛbaṛ hai
jab laṛkī sīṭī bajāe …

apnoṅ se bhāge jab bistar meṅ jāge jab takiye se lipṭe rahe
āne meṅ ṭakrāe jāne meṅ ṭakrāe donoṅ hī simṭe rahe
jab laṛkī chūṛī khankāe aur laṛkā kamre meṅ āe
chheṛā chheṛī donoṅ meṅ ho jāe to samjho
māmlā gaṛbaṛ hai
jab laṛkī sīṭī bajāe …