Jab jab tumko dekhaa dil mastaanaa ho gayaa

जब जब तुमको देखा दिल मस्ताना हो गया
Year
Language

कु: जब जब तुमको देखा दिल मस्ताना हो गया
तेरी हर अदा पे दिल दीवाना हो गया
तू ले ले मुझे बाँहों में पड़ा रहूँ तेरी राहों में लैला

अ: जब जब तुझको देखूं मैं आँखें झुक जाती हैं
तेरी बातें सुन सुन कर साँसें रुक जाती हैं
कि ऐसे मुझे देखो ना जाओ जी मुझे छेड़ो ना छैला

कु: हो तेरा प्यार मांगे दिल बार बार मांगे दिल आके मिल
जितना दीदार हुआ उतना बेक़रार हुआ हाय दिल
अ: हो खोई खोई रहती हूँ सखियों से कहती हूँ हाल-ए-दिल
झूमें तक़दीर मेरी चूमूं तस्वीर तेरी जाऊँ खिल

कु: दिल ही मेरा बस में नहीं है अरमां ऐसे जागे
अ: हिम्मत जो निभाने की हो बढ़ना तभी आगे
कु: होंठों पे सुरूर लिए चेहरे पर नूर लिए आ गया
अ: ज़रा मुस्कराते ही ज़िन्दगी में आते ही तू छा गया

कु: एक तो हसीन है तू उसपे ज़हीन है तू दिलरुबा
तू जो मिली ऐसा लगा मुझे हसीनों का ख़ुदा मिल गया
अरे है न कोई होगा जग में प्यारा तुझसे बढ़के
अ: ले जा मेरी डोली ले जा जल्दी मेरे घर से

ku: jab jab tumko dekhā dil mastānā ho gayā
terī har adā pe dil dīvānā ho gayā
tū le le mujhe bāṇhoṅ meṅ paṛā rahūṇ terī rāhoṅ meṅ lailā

a: jab jab tujhko dekhūṅ maiṅ āṇkheṅ jhuk jātī haiṅ
terī bāteṅ sun sun kar sāṇseṅ ruk jātī haiṅ
ki aise mujhe dekho nā jāo jī mujhe chheṛo nā chhailā

ku: ho terā pyār māṅge dil bār bār māṅge dil āke mil
jitnā dīdār huā utnā beqrār huā hāy dil
a: ho khoī khoī rahtī hūṇ sakhiyoṅ se kahtī hūṇ hāl-e-dil
jhūmeṅ taqdīr merī chūmūṅ tasvīr terī jāūṇ khil

ku: dil hī merā bas meṅ nahīṅ hai armāṅ aise jāge
a: himmat jo nibhāne kī ho baṛhnā tabhī āge
ku: hoṅṭhoṅ pe surūr lie chehre par nūr lie ā gayā
a: zarā muskrāte hī zindgī meṅ āte hī tū chhā gayā

ku: ek to hasīn hai tū uspe zahīn hai tū dilrubā
tū jo milī aisā lagā mujhe hasīnoṅ kā khudā mil gayā
are hai na koī hogā jag meṅ pyārā tujhse baṛhke
a: le jā merī ḍolī le jā jaldī mere ghar se