Jab bhee ye dil udaas hotaa hai, jaane kaun aas paas hotaa hai

जब भी ये दिल उदास होता है, जाने कौन आस पास होता है
Work
Year
Language

जब भी ये दिल उदास होता है
जाने कौन आस पास होता है
जब भी ये…

होंठ चुप चाप बोलते हो जब
साँस कुछ तेज़ तेज़ चलती हो
आँखें जब दे रही हों आवाज़ें
ठंडी आहों में साँस जलती हो - (2)
जब भी ये…

आँखों में तैरती है तस्वीरें
तेरा चेहरा तेरा खयाल लिये
आइना देखता है जब मुझको
एक मासूम सा सवाल लिये - (2)
जब भी ये…

कोई वादा नहीं किया लेकिन
क्‌यूँ तेरा इंतज़ार रहता है
बेवजह जब करार मिल जये
दिल बड़ा बेकरार रहता है
जब भी ये…

jab bhī ye dil udās hotā hai
jāne kaun ās pās hotā hai
jab bhī ye…

hoṅṭh chup chāp bolte ho jab
sāṇs kuchh tez tez chaltī ho
āṇkheṅ jab de rahī hoṅ āvāzeṅ
ṭhaṅḍī āhoṅ meṅ sāṇs jaltī ho - (2)
jab bhī ye…

āṇkhoṅ meṅ tairtī hai tasvīreṅ
terā chehrā terā khayāl liye
āinā dekhtā hai jab mujhko
ek māsūm sā savāl liye - (2)
jab bhī ye…

koī vādā nahīṅ kiyā lekin
k‌yūṇ terā iṅtazār rahtā hai
bevjah jab karār mil jaye
dil baṛā bekrār rahtā hai
jab bhī ye…