Jaaoon main kahaan ye zameen ye jahaan chhor ke

जाऊँ मैं कहाँ ये ज़मीन ये जहाँ छोड़ के
Work
Year
Language

लता:जाऊँ मैं कहाँ
हाय जाऊँ मैं कहाँ, ये ज़मीन ये जहाँ छोड़ के
राह में मुझे चल दिया कारवाँ छोड़ के
जाऊँ मैं कहाँ, ये ज़मीन ये जहाँ छोड़ के
राह में मुझे चल दिया कारवाँ छोड़ के
जाऊँ मैं कहाँ

मन्ना:ये भीगी भीगी रातें, ये घुमड़ घुमड़ बरसातें
ऐसे में दिल से कर ले दो चार नज़र की बातें
बाहों में आके सो जा सो जा सो जा

लता:जाऊँ मैं कहाँ, ये ज़मीन ये जहाँ छोड़ के
राह में मुझे चल दिया कारवाँ छोड़ के
जाऊँ मैं कहाँ

लता:रात गुज़रती जाये, आस नज़र ना आये -2
रो ना सकूँ, अब रोते रोते आँसू भी शर्माये
हो, जाऊँ मैं कहाँ, ये ज़मीन ये जहाँ छोड़ के
राह में मुझे चल दिया कारवाँ छोड़ के
जाऊँ मैं कहाँ

मन्ना:ये भीगी भीगी रातें, ये घुमड़ घुमड़ बरसातें
ऐसे में दिल से कर ले दो चार नज़र की बातें
ये भीगी भीगी रातें, ये घुमड़ घुमड़ बरसातें
ऐसे में दिल से कर ले दो चार नज़र की बातें
बाहों में आके सो जा सो जा सो जा

लता:जाऊँ मैं कहाँ, ये ज़मीन ये जहाँ छोड़ के
राह में मुझे चल दिया कारवाँ छोड़ के
जाऊँ मैं कहाँ

दर्द भरी तन्हाई याद तेरी फिर लाई
छेड़ रही है भूले फ़साने दूर कहीं शेहनाई
हो, जाऊँ मैं कहाँ, ये ज़मीन ये जहाँ छोड़ के
राह में मुझे चल दिया कारवाँ छोड़ के
जाऊँ मैं कहाँ, हाय, जाऊँ मैं कहाँ

latā:jāūṇ maiṅ kahāṇ
hāy jāūṇ maiṅ kahāṇ, ye zamīn ye jahāṇ chhoṛ ke
rāh meṅ mujhe chal diyā kārvāṇ chhoṛ ke
jāūṇ maiṅ kahāṇ, ye zamīn ye jahāṇ chhoṛ ke
rāh meṅ mujhe chal diyā kārvāṇ chhoṛ ke
jāūṇ maiṅ kahāṇ

mannā:ye bhīgī bhīgī rāteṅ, ye ghumaṛ ghumaṛ barsāteṅ
aise meṅ dil se kar le do chār nazar kī bāteṅ
bāhoṅ meṅ āke so jā so jā so jā

latā:jāūṇ maiṅ kahāṇ, ye zamīn ye jahāṇ chhoṛ ke
rāh meṅ mujhe chal diyā kārvāṇ chhoṛ ke
jāūṇ maiṅ kahāṇ

latā:rāt guzartī jāye, ās nazar nā āye -2
ro nā sakūṇ, ab rote rote āṇsū bhī śharmāye
ho, jāūṇ maiṅ kahāṇ, ye zamīn ye jahāṇ chhoṛ ke
rāh meṅ mujhe chal diyā kārvāṇ chhoṛ ke
jāūṇ maiṅ kahāṇ

mannā:ye bhīgī bhīgī rāteṅ, ye ghumaṛ ghumaṛ barsāteṅ
aise meṅ dil se kar le do chār nazar kī bāteṅ
ye bhīgī bhīgī rāteṅ, ye ghumaṛ ghumaṛ barsāteṅ
aise meṅ dil se kar le do chār nazar kī bāteṅ
bāhoṅ meṅ āke so jā so jā so jā

latā:jāūṇ maiṅ kahāṇ, ye zamīn ye jahāṇ chhoṛ ke
rāh meṅ mujhe chal diyā kārvāṇ chhoṛ ke
jāūṇ maiṅ kahāṇ

dard bharī tanhāī yād terī phir lāī
chheṛ rahī hai bhūle fasāne dūr kahīṅ śhehnāī
ho, jāūṇ maiṅ kahāṇ, ye zamīn ye jahāṇ chhoṛ ke
rāh meṅ mujhe chal diyā kārvāṇ chhoṛ ke
jāūṇ maiṅ kahāṇ, hāy, jāūṇ maiṅ kahāṇ