Jaao chamkaa subah kaa sitaaraa

जाओ चमका सुबह का सितारा
Year
Language

जाओऽ ओह्ऽ

जाओ चमका सुबह का सितारा -2
फिर जुदाई ने आके पुकारा
जाओ चमका …

देख लो हमको जी भर के दिलबर -2
कल न पलटे कहीं ये मुक़द्दर -2
फिर न मुमकिन हो आना दुबारा
जाओ चमका …

प्रेम के फूल एक दिन खिलेंगे -2
याँ न मिल पाए तो वाँ मिलेंगे -2
प्रेमियों को यही है सहारा
जाओ चमका …

आते रहते हैं तूफ़ां बराबर -2
क्‌यों उबलता नहीं प्रेम सागर -2
डूब जायें तो पाएं किनारा
जाओ चमका …

jāo' oh'

jāo chamkā subah kā sitārā -2
phir judāī ne āke pukārā
jāo chamkā …

dekh lo hamko jī bhar ke dilbar -2
kal na palṭe kahīṅ ye muqaddar -2
phir na mumkin ho ānā dubārā
jāo chamkā …

prem ke phūl ek din khileṅge -2
yāṇ na mil pāe to vāṇ mileṅge -2
premiyoṅ ko yahī hai sahārā
jāo chamkā …

āte rahte haiṅ tūfāṅ barābar -2
k‌yoṅ ubaltā nahīṅ prem sāgar -2
ḍūb jāyeṅ to pāeṅ kinārā
jāo chamkā …