Jaanoon jaanam jaan-e-man ... tere husn pe hain qurbaan

जानूं जानम जान-ए-मन ... तेरे हुस्न पे हैं क़ुर्बां
Work
Year
Language

जानूं जानम जान-ए-मन जान-ए-तमन्ना जान-ए-जिगर
जान-ए-वफ़ा जान-ए-जहाँ तू ही मेरी जाँ
क्‌या रखूँ तेरा नाम तू बता दिलरुबा तू बता
जानूं जानम जान-ए-मन …

तेरे हुस्न पे हैं क़ुर्बां ये ज़मीं दो जहाँ
हो हमसे फिर तक़रार करोगी
तौबा तौबा नहीं नहीं मेरी तौबा कभी नहीं
हो प्यार से फिर इन्कार करोगी
ना ना ना ना नहीं नहीं
जो हुआ आ भूल जा दिलरुबा
जब से है तुझको जाना मैने रब को पहचाना
तुझे है सब कुछ माना हो गया दिल दीवाना
हो जानूं जानम जान-ए-मन …

मुझको मिला तू दिल की दुआ से
यार मिला मुझे प्यार मिला कितना हसीं दिलदार मिला
हो मांग लिया है तुझको ख़ुदा से
मिलके होंगे हम ना जुदा
वादा रहा ये वादा रहा
ज़िन्दगी अब तुझे सौंप दी
रहूँगी तेरी हो के तेरी बाहों में खो के
जहाँ में किसमें है दम जो अपनी राहें रोके
हो जानूं जानम जान-ए-मन …

जो चाहे रख ले नाम तू मेरा दिलरुबा तू मेरा

jānūṅ jānam jān-e-man jān-e-tamannā jān-e-jigar
jān-e-vafā jān-e-jahāṇ tū hī merī jāṇ
k‌yā rakhūṇ terā nām tū batā dilrubā tū batā
jānūṅ jānam jān-e-man …

tere husn pe haiṅ qurbāṅ ye zamīṅ do jahāṇ
ho hamse phir taqrār karogī
taubā taubā nahīṅ nahīṅ merī taubā kabhī nahīṅ
ho pyār se phir inkār karogī
nā nā nā nā nahīṅ nahīṅ
jo huā ā bhūl jā dilrubā
jab se hai tujhko jānā maine rab ko pahchānā
tujhe hai sab kuchh mānā ho gayā dil dīvānā
ho jānūṅ jānam jān-e-man …

mujhko milā tū dil kī duā se
yār milā mujhe pyār milā kitnā hasīṅ dildār milā
ho māṅg liyā hai tujhko khudā se
milke hoṅge ham nā judā
vādā rahā ye vādā rahā
zindgī ab tujhe sauṅp dī
rahūṇgī terī ho ke terī bāhoṅ meṅ kho ke
jahāṇ meṅ kismeṅ hai dam jo apnī rāheṅ roke
ho jānūṅ jānam jān-e-man …

jo chāhe rakh le nām tū merā dilrubā tū merā