Jaane ye mujh ko k‌yaa ho rahaa hai

जाने ये मुझ को क्‌या हो रहा है
Year
Language

सहमी सहमी आहें, है दहशत सी मन में
जाने ये मुझ को क्‌या हो रहा है
याद उन की दिल से जाती नहीं है
जाने ये मुझको क्‌या हो रहा है

वीरानगी है हर सू, हर पत्ता हिल रहा है
मेरे हाल-ए-दिल पे हाय्! आशियाना रो रहा है
याद उन की दिल से …

वो अगर आ भी पायें, रुक पायेंगी गर्दिशें क्‌या
जिन कि ख़ातिर मेरा ये जहान मिट रहा है
याद उन की दिल से …

जितनी भी की है कोशिश, मैं ने भूलने की उनको
उतना ही उनका मुझ पर नशा छा रहा है
याद उन की दिल से …

sahmī sahmī āheṅ, hai dahśhat sī man meṅ
jāne ye mujh ko k‌yā ho rahā hai
yād un kī dil se jātī nahīṅ hai
jāne ye mujhko k‌yā ho rahā hai

vīrāngī hai har sū, har pattā hil rahā hai
mere hāl-e-dil pe hāy! āśhiyānā ro rahā hai
yād un kī dil se …

vo agar ā bhī pāyeṅ, ruk pāyeṅgī gardiśheṅ k‌yā
jin ki khātir merā ye jahān miṭ rahā hai
yād un kī dil se …

jitnī bhī kī hai kośhiśh, maiṅ ne bhūlne kī unko
utnā hī unkā mujh par naśhā chhā rahā hai
yād un kī dil se …