Jaane vo kaise log the jinke pyaar ko pyaar milaa

जाने वो कैसे लोग थे जिनके प्यार को प्यार मिला
Work
Year
Language

जाने वो कैसे लोग थे जिनके
प्यार को प्यार मिला
हमने तो जब कलियाँ माँगी
काँटों का हार मिला
जाने वो …

खुशियों की मंज़िल ढूँढी तो
ग़म की गर्द मिली
चाहत के नग़मे चाहे तो
आँहें सर्द मिली
दिल के बोझ को धुँधला कर गया जो ग़मखार मिला
हमने तो जब …

बिछड़ गया… बिछड़ गया हर साथी देकर
पल दो पल का साथ
किसको फ़ुरसत है जो थामे दीवानों का हाथ
हमको अपना साया तक अक़सर बेज़ार मिला
हमने तो जब …

इसको ही जीना कहते हैं तो
यूँही जी लेंगे
उफ़ न करेंगे लब सी लेंगे
आँसू पी लेंगे
ग़म से अब घबराना कैसा, ग़म सौ बार मिला
हमने तो जब …

jāne vo kaise log the jinke
pyār ko pyār milā
hamne to jab kaliyāṇ māṇgī
kāṇṭoṅ kā hār milā
jāne vo …

khuśhiyoṅ kī maṅzil ḍhūṇḍhī to
ġham kī gard milī
chāhat ke naġhme chāhe to
āṇheṅ sard milī
dil ke bojh ko dhuṇdhlā kar gayā jo ġhamkhār milā
hamne to jab …

bichhaṛ gayā… bichhaṛ gayā har sāthī dekar
pal do pal kā sāth
kisko furasat hai jo thāme dīvānoṅ kā hāth
hamko apnā sāyā tak aqsar bezār milā
hamne to jab …

isko hī jīnā kahte haiṅ to
yūṇhī jī leṅge
uf na kareṅge lab sī leṅge
āṇsū pī leṅge
ġham se ab ghabrānā kaisā, ġham sau bār milā
hamne to jab …