Jaane vaale se mulaaqaat naa hone paaee

जाने वाले से मुलाक़ात ना होने पाई
Work
Year
Language

जाने वाले से मुलाक़ात ना होने पाई - 2
दिल की दिल में ही रही बात ना होने पाई
जाने वाले से …

चाँदनी खिल न सकी, चाँद ने मुँह मोड़ लिया - 2
जिसका अरमान था वो बात ना होने पाई
जाने वाले से …

दिल में तूफ़ान उठे, दिल की जुबाँ खुल न सकी - 2
बदलियाँ छा गईं बरसात ना होने पाई
जाने वाले से …

jāne vāle se mulāqāt nā hone pāī - 2
dil kī dil meṅ hī rahī bāt nā hone pāī
jāne vāle se …

chāṇdnī khil na sakī, chāṇd ne muṇh moṛ liyā - 2
jiskā armān thā vo bāt nā hone pāī
jāne vāle se …

dil meṅ tūfān uṭhe, dil kī jubāṇ khul na sakī - 2
badliyāṇ chhā gaīṅ barsāt nā hone pāī
jāne vāle se …