Jaane kaise kab kahaan iqraar ho gayaa

जाने कैसे कब कहाँ इक़रार हो गया
Work
Year
Language

जाने कैसे कब कहाँ इक़रार हो गया
हम सोचते ही रह गए और प्यार हो गया (2)

गुलशन बनीं गलियाँ सभी
फूल बन गए कलियाँ सभी (2)

लगता है मेरा सेहरा तय्यार हो गया
हम सोचते …

तुमने हमे बेबस किया
दिल ने हमे धोखा दिया
उफ़ तौबा जीना कितना दुशवार हो गया
हम सोचते …

हम चुप रहे कुछ न कहा
कहने को क्‌या बाक़ी रहा
बस आँखों ही आँखों में इक़रार हो गया

jāne kaise kab kahāṇ iqrār ho gayā
ham sochte hī rah gae aur pyār ho gayā (2)

gulaśhan banīṅ galiyāṇ sabhī
phūl ban gae kaliyāṇ sabhī (2)

lagtā hai merā sehrā tayyār ho gayā
ham sochte …

tumne hame bebas kiyā
dil ne hame dhokhā diyā
uf taubā jīnā kitnā duśhvār ho gayā
ham sochte …

ham chup rahe kuchh na kahā
kahne ko k‌yā bāqī rahā
bas āṇkhoṅ hī āṇkhoṅ meṅ iqrār ho gayā