Jaane kaise, kab, kahaan, ikraar ho gayaa

जाने कैसे, कब, कहाँ, इकरार हो गया
Work
Year
Language

जाने कैसे, कब कहाँ, इकरार हो गया
हम सोचते ही रह गये और प्यार हो गया

गुलशन बनी गलियाँ सभी
फूल बन गयी कलियाँ सभी
लगता है मेरा सेहरा तैयार हो गया

तुम ने हमे बेबस किया
दिल ने हमे धोखा दिया
उफ़ तोबा जीना कितना, दुश्वार हो गया

हम चुप रहे, कुछ ना कहा
कहने को क्या, बाकी रहा
बस आँखों ही आँखों में इजहार हो गया

jāne kaise, kab kahāṇ, ikrār ho gayā
ham sochte hī rah gaye aur pyār ho gayā

gulaśhan banī galiyāṇ sabhī
phūl ban gayī kaliyāṇ sabhī
lagtā hai merā sehrā taiyār ho gayā

tum ne hame bebas kiyā
dil ne hame dhokhā diyā
uf tobā jīnā kitnā, duśhvār ho gayā

ham chup rahe, kuchh nā kahā
kahne ko kyā, bākī rahā
bas āṇkhoṅ hī āṇkhoṅ meṅ ijhār ho gayā