जान सके तो जान तेरे मन में छुपकर बैठे
जान सके तो जान
तेरे मन में छुपकर बैठे देख तेरे भगवान
जान सके तो …
सदियाँ बीतीं लेकिन तेरा दीप न बुझने पाया
तेरी पूंजी मन की दौलत सबसे ऊँची माया
( सीता जैसी शक्ति तुझमें ) -2 पार्वती सी आन
जान सके तो …
कोई न तेरा न कोई मेरा सारे नाते झूठे
टूटे दिल की आस तो क्या आस न उसकी छूटे
( वही सच्चा तेरा स्वामी ) -2 मान अरे इंसान
जान सके तो …
घर भी छूटा दर भी छूटा ढूँढे रैन-बसेरा
ग़म के गहरे बादल छाए चारों ओर अँधेरा
निर्धन के दुख-दर्द को क्यों कर जान सके धनवान
जान सके तो …
नैन अँधेरा रस्ता सूना भटके जा दुखियारी
तेरे दिल की राख में जलती आज भी इक चिंगारी
हार न क़िस्मत कभी तो होगी राह तेरी आसान
जान सके तो …
पापों की अपने देखो मूर्ख आप सज़ा है पाता
जो भी सीधी राह में भटके जोड़ न उससे नाता
दिल में लाखों तूफ़ाँ जागे आँख न लेकिन रोए
कर्म का पालन करने वाली आन अपनी खोए
देखो-देखो ममता ( प्यार का दे बलिदान ) -2
जान सके तो …
jān sake to jān
tere man meṅ chhupkar baiṭhe dekh tere bhagvān
jān sake to …
sadiyāṇ bītīṅ lekin terā dīp na bujhne pāyā
terī pūṅjī man kī daulat sabse ūṇchī māyā
( sītā jaisī śhakti tujhmeṅ ) -2 pārvtī sī ān
jān sake to …
koī na terā na koī merā sāre nāte jhūṭhe
ṭūṭe dil kī ās to kyā ās na uskī chhūṭe
( vahī sachchā terā svāmī ) -2 mān are iṅsān
jān sake to …
ghar bhī chhūṭā dar bhī chhūṭā ḍhūṇḍhe rain-baserā
ġham ke gahre bādal chhāe chāroṅ or aṇdherā
nirdhan ke dukh-dard ko kyoṅ kar jān sake dhanvān
jān sake to …
nain aṇdherā rastā sūnā bhaṭke jā dukhiyārī
tere dil kī rākh meṅ jaltī āj bhī ik chiṅgārī
hār na qismat kabhī to hogī rāh terī āsān
jān sake to …
pāpoṅ kī apne dekho mūrkh āp sazā hai pātā
jo bhī sīdhī rāh meṅ bhaṭke joṛ na usse nātā
dil meṅ lākhoṅ tūfāṇ jāge āṇkh na lekin roe
karm kā pālan karne vālī ān apnī khoe
dekho-dekho mamtā ( pyār kā de balidān ) -2
jān sake to …