Jaan kee baazee lagaane vaalaa hotaa hai jaanbaaz्

जान की बाज़ी लगाने वाला होता है जांबाज़्
Work
Year
Language

जांबाज़ -3
जान की बाज़ी लगाने वाला होता है जांबाज़
जांबाज़ -2
जीने का है मरने का है अपना ही अंदाज़
जांबाज़ -4

हुस्न-ओ-जवानी की चाहत है -2
प्यार जताने की आदत है -2
अच्छी सूरत पर मरते हैं
खास हसीनों में शोहरत है -2
जांबाज़ -3
कोई बुलबुल धोखा दे तो बन जाते हैं बाज़
जांबाज़ -5

नाइन्साफ़ी सह नहीं सकता -2
बिन टकराए रह नहीं सकता
मनमानों की मनमानी
खून गरीब का बह नहीं सकता -2
जांबाज़ -3
सारे रिश्ते तोड़ के निकली दिल से ये आवाज़
जांबाज़ -5

एक हुए जब भाई भाई -2
कट गए बादल आँधी आई
ज़ुल्म-ओ-सितम पे टूट पड़ेंगे
खून से उभरेगी सच्चाई -2
जांबाज़ -3
यार नहीं दुश्मन भी करेंगे आज तो इस पर नाज़
जांबाज़ -5
जान की बाज़ी लगाने वाला …

jāṅbāz -3
jān kī bāzī lagāne vālā hotā hai jāṅbāz
jāṅbāz -2
jīne kā hai marne kā hai apnā hī aṅdāz
jāṅbāz -4

husn-o-javānī kī chāhat hai -2
pyār jatāne kī ādat hai -2
achchhī sūrat par marte haiṅ
khās hasīnoṅ meṅ śhohrat hai -2
jāṅbāz -3
koī bulbul dhokhā de to ban jāte haiṅ bāz
jāṅbāz -5

nāinsāfī sah nahīṅ saktā -2
bin ṭakrāe rah nahīṅ saktā
manmānoṅ kī manmānī
khūn garīb kā bah nahīṅ saktā -2
jāṅbāz -3
sāre riśhte toṛ ke niklī dil se ye āvāz
jāṅbāz -5

ek hue jab bhāī bhāī -2
kaṭ gae bādal āṇdhī āī
zulm-o-sitam pe ṭūṭ paṛeṅge
khūn se ubhregī sachchāī -2
jāṅbāz -3
yār nahīṅ duśhman bhī kareṅge āj to is par nāz
jāṅbāz -5
jān kī bāzī lagāne vālā …