Jaadoogar saiyaan, chhodo meree baiyaan

जादूगर सैयाँ, छोडो मेरी बैयाँ
Work
Year
Language

जादूगर सैयाँ, छोडो मोरी बैयाँ
हो गई आधी रात अब घर जाने दो

जाने दो ओ रसिया, मेरे मन बसियाँ, गाँव मेरा बड़ी दूर है
तेरी नगरीयां रुक ना सकूँ मैं, प्यार मेरा मजबूर है
जंजीर पड़ी मेरे हाथ अब घर जाने दो

झूकी झूकी अँखियाँ, देखेंगी सारी सखियाँ, देंगी ताना तेरे नाम का
ऐसे में मत रोक बेदर्दी, ले ले वचन कल शाम का
कल होंगे फिर हम साथ अब घर जाने दो

jādūgar saiyāṇ, chhoḍo morī baiyāṇ
ho gaī ādhī rāt ab ghar jāne do

jāne do o rasiyā, mere man basiyāṇ, gāṇv merā baṛī dūr hai
terī nagrīyāṅ ruk nā sakūṇ maiṅ, pyār merā majbūr hai
jaṅjīr paṛī mere hāth ab ghar jāne do

jhūkī jhūkī aṇkhiyāṇ, dekheṅgī sārī sakhiyāṇ, deṅgī tānā tere nām kā
aise meṅ mat rok bedardī, le le vachan kal śhām kā
kal hoṅge phir ham sāth ab ghar jāne do