Jaadoogar sainyaa chhoro moree bainyaa

जादूगर सैंया छोड़ो मोरी बैंया
Work
Year
Language

जादूगर सैंया, छोड़ो मेरी बैंया
हो गई आधी रात, अब घर जाने दो

झुकी-झुकी अँखियाँ देखेंगी सारी सखियाँ
देंगी ताना तेरे नाम का
(ऐसे में मत रोक बेदर्दी
ले ले वचन कल शाम का) -2
कल होंगे फिर हम साथ
अब घर जाने दो

जादूगर सैंया …

जाने दे ओ रसिया, मेरे मन बसिया
गाँव मेरा बड़ी दूर है
(तेरी नगरिया रुक न सकूँ मैं
प्यार मेरा मजबूर है) -2
ज़ंजीर पड़ी मेरे हाथ
अब घर जाने दो

जादूगर सैंया …

jādūgar saiṅyā, chhoṛo merī baiṅyā
ho gaī ādhī rāt, ab ghar jāne do

jhukī-jhukī aṇkhiyāṇ dekheṅgī sārī sakhiyāṇ
deṅgī tānā tere nām kā
(aise meṅ mat rok bedardī
le le vachan kal śhām kā) -2
kal hoṅge phir ham sāth
ab ghar jāne do

jādūgar saiṅyā …

jāne de o rasiyā, mere man basiyā
gāṇv merā baṛī dūr hai
(terī nagriyā ruk na sakūṇ maiṅ
pyār merā majbūr hai) -2
zaṅjīr paṛī mere hāth
ab ghar jāne do

jādūgar saiṅyā …