Jaa ree pavniyaa piyaa ke des jaa

जा री पवनिया पिया के देस जा
Year
Language

humming
जा री पवनिया, पिया के देस जा

जा री पवनिया, पिया के देस जा
इतना सन्देसा मोरा कहियो जा
पिया सों सन्देसा मोरा कहियो जा

तन-मन प्यासा, प्यासी नजरिया
प्यासी प्यासी गागरिया
अम्बर प्यासा, धरती प्यासी
प्यासी सारी नगरिया
प्यासी सारी नगरिया
प्यास बुझेगी तब जीवन की
जब घर आवें साँवरिया
इतना सन्देसा मोरा कहियो जा …

तन की अग्नि मन को जलाये
तुम बिन कोई ना जाने
छोड़ी तुम ने जो रणभूमी
सखियाँ मारेंगी ताने मोहे
सखियाँ मारेंगी ताने
लाज की मारी मर जाएगी
अपने पिया की बावरिया
इतना सन्देसा मोरा कहियो जा …

humming
jā rī pavniyā, piyā ke des jā

jā rī pavniyā, piyā ke des jā
itnā sandesā morā kahiyo jā
piyā soṅ sandesā morā kahiyo jā

tan-man pyāsā, pyāsī najriyā
pyāsī pyāsī gāgriyā
ambar pyāsā, dhartī pyāsī
pyāsī sārī nagriyā
pyāsī sārī nagriyā
pyās bujhegī tab jīvan kī
jab ghar āveṅ sāṇvriyā
itnā sandesā morā kahiyo jā …

tan kī agni man ko jalāye
tum bin koī nā jāne
chhoṛī tum ne jo raṇbhūmī
sakhiyāṇ māreṅgī tāne mohe
sakhiyāṇ māreṅgī tāne
lāj kī mārī mar jāegī
apne piyā kī bāvriyā
itnā sandesā morā kahiyo jā …