Jaa jaa re jaa, baalamvaa

जा जा रे जा, बालमवा
Year
Language

जा जा रे जा, बालमवा
सौतन के संग रात बिताई
काहे करत अब झूटी बतियाँ
जा जा रे जा, बालमवा

ग़ैर के घर करी रात जगाई
मोसे कहे तेरे बिना नींद न आयी
कैसो हरजाई दैय्या
जा जा रे, जा बालमवा …

काँधे लगा लायी बिन्दिया किसीकी
जानूँ मैं चुरायी तूने निन्दिया किसीकी
लाज न आयी तोहे
जा रे जा, जा रे जा, जा रे जा, बालमवा …

jā jā re jā, bālamvā
sautan ke saṅg rāt bitāī
kāhe karat ab jhūṭī batiyāṇ
jā jā re jā, bālamvā

ġhair ke ghar karī rāt jagāī
mose kahe tere binā nīṅd na āyī
kaiso harjāī daiyyā
jā jā re, jā bālamvā …

kāṇdhe lagā lāyī bindiyā kisīkī
jānūṇ maiṅ churāyī tūne nindiyā kisīkī
lāj na āyī tohe
jā re jā, jā re jā, jā re jā, bālamvā …