Itnee naazuk naa bano, haay, itnee naazuk naa bano

इतनी नाज़ुक ना बनो, हाय, इतनी नाज़ुक ना बनो
Work
Year
Language

इतनी नाज़ुक ना बनो, हाय, इतनी नाज़ुक ना बनो
हदके अन्दर हो नज़ाकत तो अदा होती है
हदसे बढ़ जाये तो आप अपनी सज़ा होती है
(इतनी…)

जिस्म का बोझ उठाये नहीं उठता तुमसे
ज़िंदगानी का कड़ा बोझ सहोगी कैसे
तुम जो हलकीसी हवाओं में लचक जाती हो
तेज़ झोंकों के थपेड़ों में रहोगी कैसे
(इतनी…)

ये ना समझो के हर इक राह में कलियां होंगी
राह चलनी है तो कांटों पे भी चलना होगा
ये नया दौर है इस दौर में जीने के लिये
हुस्न को हुस्न का अन्दाज़ बदलना होगा
(इतनी…)

कोइ रुकता नहीं ठहरे हुए राही के लिये
जो भी देखेगा वोह कतराके गुज़र जायेगा
हम अगर वक़्त के हमराह ना चलने पाये
वक़्त हम दोनो को ठुकराके गुज़र जायेगा
(इतनी…)

itnī nāzuk nā bano, hāy, itnī nāzuk nā bano
hadke andar ho nazākat to adā hotī hai
hadse baṛh jāye to āp apnī sazā hotī hai
(itnī…)

jism kā bojh uṭhāye nahīṅ uṭhtā tumse
ziṅdgānī kā kaṛā bojh sahogī kaise
tum jo halkīsī havāoṅ meṅ lachak jātī ho
tez jhoṅkoṅ ke thapeṛoṅ meṅ rahogī kaise
(itnī…)

ye nā samjho ke har ik rāh meṅ kaliyāṅ hoṅgī
rāh chalnī hai to kāṅṭoṅ pe bhī chalnā hogā
ye nayā daur hai is daur meṅ jīne ke liye
husn ko husn kā andāz badalnā hogā
(itnī…)

koi ruktā nahīṅ ṭhahre hue rāhī ke liye
jo bhī dekhegā voh katrāke guzar jāyegā
ham agar vaqt ke hamrāh nā chalne pāye
vaqt ham dono ko ṭhukrāke guzar jāyegā
(itnī…)