Itnaa to yaad hai mujhe, kee unse mulaakaat huee

इतना तो याद है मुझे, की उनसे मुलाकात हुई
Year
Language

इतना तो याद है मुझे, की उनसे मुलाक़ात हुई
बाद में जाने क्या हुआ, ना जाने क्या बात हुई

वादे वफ़ा के करके, कस्में उठाके
किसीपे दिल लूटाके चला आया
नज़रे मिलाके, नींद अपनी गवांके
कसक दिलमें बसाके चला आया
दिन तो गुजर जाएगा, क्या होगा जब रात हुई

मारे हया के, मैं तो आँखे झूका के
ज़रा दामन बचा के चली आई
परदा हटाके, उनकी बातों में आके
उन्हें सूरत दिखा के चली आई
किससे शिकायत करू, शरारत मेरे साथ हुई

थी एक कहानी, पहले ये जिंदगानी
उन्हें देखा तो जीना मुझे आया
दिलबर ओ जानी, शर्म से पानी पानी
हुयी मैं बस, पसीना मुझे आया
ऐसे मैं भीग गई, जैसे के बरसात हुई

itnā to yād hai mujhe, kī unse mulāqāt huī
bād meṅ jāne kyā huā, nā jāne kyā bāt huī

vāde vafā ke karke, kasmeṅ uṭhāke
kisīpe dil lūṭāke chalā āyā
nazre milāke, nīṅd apnī gavāṅke
kasak dilmeṅ basāke chalā āyā
din to gujar jāegā, kyā hogā jab rāt huī

māre hayā ke, maiṅ to āṇkhe jhūkā ke
zarā dāman bachā ke chalī āī
pardā haṭāke, unkī bātoṅ meṅ āke
unheṅ sūrat dikhā ke chalī āī
kisse śhikāyat karū, śharārat mere sāth huī

thī ek kahānī, pahle ye jiṅdgānī
unheṅ dekhā to jīnā mujhe āyā
dilbar o jānī, śharm se pānī pānī
huyī maiṅ bas, pasīnā mujhe āyā
aise maiṅ bhīg gaī, jaise ke barsāt huī